Thursday 29 June 2017

Chata hu...



Chata hu ke toofano me bhi me tham jau....
Chata hu ke lahro ko tairna sikhlau....
Chata hu ke aandhi ko cheerkar aage badh jau....
Chata hu ke aasma me aaj thahar jau....
Chata hu ke parindo k sang udh jau....
Chata hu ke ret ko mutthi me band kar jau....
Chata hu ke khwabo me yun me dhal jau....
Baki na rahe mujhe ye gham ke me kuch na kar pau....
Ke khwabo ko me apne yun jii jau....
Chata hu ke aaj Safalta ki har sidhi chadh jau....
----Anand Sagwaliya

Wednesday 28 June 2017

Aaj alag hi hasti he meri.....


Aaj toofan me kasti he meri, aaj alag hi hasti he meri....
Kabhi me bhi saham jata tha bundo se, aaj samandar me basti he meri....
Kabhi andhere se dar jata tha me bhi, aaj rat me bhi masti he meri....
Kabhi akela me bhi nhi reh pata tha, aaj akelepan me bhi matargasti he meri....
kbhi sochta hu ke tham jau ab, to chaal bhi daudhne ko tarasti he meri....
Aaj toofan me kasti he meri, aaj alag hi hasti he meri....
----Anand Sagwaliya

Sunday 25 June 2017

This one is for Enemies of our country

Parinde bhi hamari hasti ka gungan karte he, hamare dushman bhi hamari sakshiyat pe abhiman karte he....
Najar bhi wo utha nahi pata he, Jiska ham kabhi apman karte he....
Jivan dhanya ho jata he uska, Jispe ham thoda bhi abhiman karte he....
Najar ham bhi jhukate he unke samne, Jo is maati par balidan karte he....
Is dhara ke lal ko jo mare, unka katleaam ham bhi karte he...
Jis din khoon khol gaya us din, tu bahut pachtaega....
Anubambo se bhi apne us din, tu nahi bach paega....
Mat le sabra ka imtehan hamari, kuki shanti ke bad hi toofan nikalte he....
Tera ghamand ab tak tika he bas isliye, Kuki ham har kisi ka itna samman karte he....
Parinde bhi hamari hasti ka gungan karte he, hamare dushman bhi hamari sakshiyat pe abhiman karte he....
# Jai hind Jai Jawan Jai Kisan
----Anand Sagwaliya

Friday 23 June 2017

Description of Love


Aarju e isque ki inteha to dekhiye, Dil e nadan ko dhadakana sikha diya....
Khusbu e isque ke asar ne, Itra ki khusbu ko mita diya....
Darde dil ko ab sambhale kese, Kambakht isne hame bhi aashik bna diya..
Rutba aapki yado ka hua is kadar, ke ab to hamne khud ko bhi bhula diya...
Sambhale nhi sambhalta hosh ab, Isque ne madhosi ka esa alam jaga diya....
Darte the ham mohhabat ke nam se, Apki ada ne ab to ye dar bhi bhaga diya....
Chahat ke junoon ne hame ab, pura bechain bna diya.....
Ek aahat ne aapki hame, aaj fir mout se jaga diya...
Aarju e isque ki inteha to dekhiye,Dil e nadan ko dhadakana sikha diya....
------ANAND SAGWALIYA

Thursday 22 June 2017

Dedicated to Farmer's Protest

Sarkar ki jhooti bato se khatm hogi ye Lalkar nahi ....
Bhagat singh ke vansaj he ham chodenge apna adhikar nahi.
Jo na sunegi ab hamari aegi wo sarkar nahi....
Mang rahe he ham haque apna, Apka koi Upkar nahi.
Ye kranti ki masal he, jhooti koi fufkar nahi...
Haque khoon pasine ki mehnat ka, ye jhoota koi  vyapar nahi...
Ye kisan ki lathi he , tum hatyaro ka hathiyar nahi ......
Sahadat ko taiyyar he hm , par jhukne ko taiyyar nahi...
Bhagat singh ke vansaj he ham chodenge apna adhikar nahi.
~Anand Sagwaliya{Son of a Farmer}
Breakup ki kahani

Jab chodhkar jana hi tha to pas aaye kyu...
Jab najre churana hi tha to muskurae kyu...
Aapki muskan ko mana tha khuda humne ,fir aap uss khudai ko thukraye kyu....
Taraste the hamari hasi ko, Fr aap hi hame rulae kyu....
Mana tha khuda aapko fir aap shaitan se pesh aaye kyu...
Har wakt hame rehta tha sath hone ka ehsas fir hame akelapan dikhlae kyu....
Meri najre aaj bhi talashti he tumhe fir yun ek pal bhi samne na aaye kyu....
Hamari yado me base the har dam tum fir hame is kadar bhulae kyu.....
Mana ke kuch galtiya to humse bhi hui hongi par hame chodhkar unpar itrae kyu....
Jawab milta nahi kisi sawal ka fir khuda ne sawal banae kyu...
Ham to dete the khusi hardam fir gham hamare hisse me aaye kyu....
Tum to khae the kasme wafa fir alam tanhai ka lae kyu...
Hamari najadikiyo ke charche to ye jahan karta tha fir dooriya yun tum badhae kyu....
Hamari wafa to ek dum pak thi fir bhi hame napak bewafai bich me lae kyu...
Jab chodhkar jana hi tha to pas aaye kyu...
Jab najre churana hi tha to muskurae kyu....
------ANAND SAGWALIYA

Wednesday 21 June 2017

Wakt


KUCH DER TO THAM JA AE WAKT, YUN RET SA FISAL KAR TUJHE KHA JANA HE....
Kuch der to tham ja ae wakt, kuki wakt to tujhe bhi yhi bitaana he
aa kuch der tham kar kuch guftagu karte he....
kisse hamari hasrato ke bayan aaj ham karte he....
kuch der tu sang agar wakt mere bitaega to hame bhi to tera na rukna sayad samajh aa jaega.....
kuch der bhor ko tu reh jane de ise bhi sang hamare kuch wakt to bitane de.....
tere bitne se beet gaya wo mera bachpan suhana....
jis bachpan me, me tujhse bilkul anjana tha...
tere beetne se hi choota wo maa ka aanchal, wo aanchal jo ki bahut suhana tha....
tere beetne se hi pahuch gya me us mukam par,jaha mujhe na ab tera thikana tha
aa kuch der to tu meri bhi sun le, mujhe bhi ek din to tujhe chodhkar jana he
aa kuch der to teri bhi kuch bate mujhe bata, kuki mujhe abhi to or bhi wakt sang tere bitana he
kabhi to ruk kar ke mere sang, dasta-e-jindagi apni suna,
kabhi to mujhe bhi batana apna afsana he
kuch der to ruk ja mere sang, nahi to tujhe bhi ek din thak jana he
KUCH DER TO THAM JA AE WAKT, YUN RET SA FISAL KAR TUJHE KHA JANA HE
-----Anand Sagwaliya

Tuesday 20 June 2017

PAPA

Mere nanhe kadmo ki ahat se jab girne ka darr satata tha tab aap hi hote he mjhe thamne ko......
jab mere bahane hote the na kuch karne ko tab aap hi hote he mujhe darane ko.....
jab me rooth jau kisi bat pe tab aap hi hote he manane ko...
jab kabhi dukhi me hota hu tab aap hi hote ho mujhe manane ko.....
meri udhano par hamesha aap hi hote ho par lagane ko....
me jab galti karta hu tab aap hi hote ho mujhe darane ko....
kya kya nahi karte aap bas mere shok pure karwane ko...
kya kya nahi karte aap mujhe jeena sikhane ko....
asan nahi hota ye sab kuch par aap banate ho asan ise kuki aap papa kahalate ho....
Love you Papa
Happy fathers day
----Anand Sagwaliya
Me Sochta hu

Me sochta hu ke kab firse wo sunahari subha ayegi...
me sochta hu ke kab firse har dil khushali chaegi.....
me sochta hu kab sab par khuda ki meharbani ayegi..........
me sochta hu kab har jivan me hariyali chaegi............
Lekin jab me ye sochta hu to ek bat badi tadpati he.........
ekdusre ke karan hi ham par ghata kali chati he...............
ham sochte he ho bhala sabka lekin khudgarji aa jati he.......
kisi or ka bhala ho jae to ye rooh jal bhun khak ho jati he....
jab sochta hu ham insano ko kiski kami reh jati he.....
pucho kabhi un parindo se jindagi kese jee jati he......
Jis din ye reet badal jaegi us din khushali chaegi..
jab kisi or ki khusi dekhkar har rooh khush ho jaegi.....
us din duniya me yaro ek alag ujala ayega...
us din duniya ko rab bhi khushiyo ka ghar bnaega....
-------Anand sagwaliya