Tuesday 15 August 2017

Be inteha ishque he watan ko mujhse to thoda to mujhe bhi karna padega...
Jo karz diya is maati ne mujhe wo thoda to mujhe bhi bharna padega....
Bete sa bartav kiya mujhse is dharti ne to bete ka kartavya mujhe bhi karna padega...
Maa ki mamta par mujhe bhi thoda to khara utarna padega...
Be inteha ishque he watan ko mujhse to thoda to mujhe bhi karna padega...
Diya to is maa ne mujhe bhi utna he jitna ek sainik ko, To thoda to maa ke liye mujhe bhi marna padega...
Aaj fir ban bethe he kayi dusman meri maa ke, to thoda to mujhe bhi in dushmano se ladna padega...
Chalni kar rahe he jo meri dharti maa ki chati ko thoda to mujhe bhi un gadharo ko chalni karna padega...
Be inteha ishque he watan ko mujhse to thoda to mujhe bhi karna padega...
Jab mujhe jarurat hoti he is maa ki to deti he ye sab kuch to thoda to maa ki jarurato ko bhi mujhe pura karna padega...
Kitne hi jakhmo ko jhela he is dharti ne to kuch jhakmo ko to mujhe bhi malham lagakar bharna hogam...
Kehne ko to Azad he aaj ham par fir bhi asali azadi ko to is maa ke naam karna hoga...
Be inteha ishque he watan ko mujhse to thoda to mujhe bhi karna padega....

Swatantrata diwas ki hardik badha
----Anand Sagwaliya

Saturday 5 August 2017

Jab jindagi imtihan leti he to dosti kam deti he
Dosti jindagi ko mukkammal makam deti he
Dosti labo pe khusnuma muskan deti he
Ek anokha Khoobsurat sa pegam deti he
Jab jindagi imtihan leti he to dosti kam deti he
Muskurahate dost ki dekhkar sukoon aata he
Dost ko paresan karne me jo maja aata he
Koi ziddi si buniyad ka ye ek makan deti he
Jab jindagi imtihan leti he to dosti kam deti he
Koi kehata he awara ho gaye ho tum sath rehkar
Koi kehta he dil jeet liya tumne ek duje ka sath dekar
Kisi ko kaha dosti intikam deti he
Jab jindagi imtihan leti he to dosti kam deti he
Dost ke paas aane ki khusi ho
Dost ke door jane ka gham
Dosti khud ba khud pehchan leti he
Jab jindagi imtihan leti he to dosti kam deti he
----Anand Sagwaliya
Happy friendship day