Saturday 29 July 2017

Ek alag hi sukoon tha aaj ki nind me
Na sone ki fikar thi fir bhi sula diya
Ek alag hi aaram tha aaj ki rat me
Thakan ka katra katra mita diya
Kitne dino ke bad aaj ye nind aayi he
Sukoon ka ek pal chehre pe layi he
Ye aram ek arse bad aaya he
Pichle kitne dino se na jane isne tarsaya he
Aaj ki rat kese nikal gayi pta hi na chala
Warna kitni hi rato ko aankhe khol bitaya he
Subah bhi aaj madmast si lag rahi
Ek lambe wakt ke bad ye pal aaya he
Na uthne ki jarurat thi aaj hame
Par aaj hame nind puri ho jane ke ahsas ne uthaya he
Na jane kitne wakt ke bad fir ye sunhara din aaya he
----ANAND SAGWALIYA

Thursday 27 July 2017

Wo bhi ek wakt tha
Ham befikre se chalte the
Wo bhi ek wakt tha ham har pal bas machalte the
Kabhi unche pedo par chad jaya karte the
To kabhi mali chacha ki dant se dar jaya karte the
Wo bhi ek wakt tha
 ham jabardasti haste the
Wo bhi ek wakt tha
 sharato pe hamari dusre faste the
Peso ke lalach me dadu ke per dabate the
Kahani sunte sunte dadi ki gaud so jate the
Wo bhi ek wakt tha
Ham jab nhi ghabrate the
Wo bhi ek wakt tha
Zid pe hi ham apni maa papa ko chalate the
Naye naye khilono se dosto ko jalate the
Gana gane ke naam par jor jor chillate the
Jabran hi dujo ko besura rag sunate the
Ham khud hi apne hisab se jab wakt ko chalate the
Kash wo wakt mera aaj bhi hota jo kl tha
usme ek alag hi sukoon tha
Wo bhi ek wakt tha wo bhi ek wakt tha wo bhi ek wakt tha
----ANAND SAGWALIYA

Friday 21 July 2017

Sath..

Chahta hu me ke hamara sath esa ho
Ke ek lafz tera to ek mera ho
Badhau kadam agar kuch pane ko
Mere kadam se kadam milata per tera ho
Hath aage badau kuch uthane ko
Sahara dene ko hath tera ho
Chata hu me ke hamara sath esa ho
Meethi si nok jhok bhi hoti ho
Par aansu tere gire to ankh meri bhi roti ho
Ruthe koi to dusra manane ko razi ho
Isse jyada na kabhi narazi ho
Ek esi samajh darmiya ho
Ke thodi teri to thodi meri marziya ho
Chata hu me ke hamara sath esa ho
Ek duje ko dekhkar muskan aati ho
Shaitaniya bhi ek duje ki bhati ho
Nadaniya bhi thodi chalti ho
Maskhari karne ko rooh machalti ho
Hamesa par tu mere paas ho
Adig hamara ek duje pe vishwas ho
Esa hamara sath ho Esa hamara sath ho
----ANAND SAGWALIYA

Wednesday 19 July 2017

Shaiyari

2 gaj he rakba e ishq, Fir bhi tatalluf dile nadan krta he

Mohabbat yaad aayi to, hichkiyo ne bhi na maani
Dard e ishq ki inteha fir bhi tumne na jani

Lafz baki na rahe bayan karne ko dard e ishq
Ab to ise bayan karne ko bhi nigaho ka karwa hi baki he

Lafz baki na rahe ab to mere teri khubsurti dekhkr
Ab to kambakht nighanho ka karwa hi baki he

Chirag bhi choundhiya gaye tujhe dekhkr
To soch hamara kya hal hua hoga

Lut gye kyi rajya, mit gye takht hazar
Sharma gyi chandni bhi, jb hua tera deedar

 Inteha ho gyi ishq k imtihan ki
Ab to ghadi aa chali iske intkam ki

लफ़्ज़ों की दास्ता होती तो बात ही क्या थी
बेहया इश्क का तो पूरा कारवा ही दिल का निकला।

जानता हूं के इश्क है तुझे बेपनाह
तभी तो मेरा कतरा कतरा तुझपे हैं फना।
----ANAND SAGWALIYA

Sunday 16 July 2017


Jindagi

Kyu jindagi itni raftar se aage badti he
Ku hamesa ye daud bhag ke piche padti he
Kabhi aram bhi kar lene de ae jindagi
Aaram ki jarurat to sabko padti he
Bachpan beet gaya jese koi hawa ka jhoka ho
Dekhna jawani bhi na koi jindagi ka dhoka ho
Bhagta bhagte ab tu padh gaye he pero me chale
Ae jindagi thoda sa rukne ko apne aap ko manale
Na dhoop dekhti he he na tu dekhti he chaw
Daya kar mere pero pe padh gya he inme ghaw
Ku tu itni raftar se aage badti he
Kabhi aram bhi kar lene de ae jindagi
Aaram ki jarurat to sabko padti he
----Anand Sagwaliya

Thursday 13 July 2017


Junoon...

Gujarish he ae khuda, kuch karne ko esa Junoon dena
Ke manjil na paa lu, tab tak na rooh ko sukoon dena
Mera hath thamkar mujhe tu btana rasta
Ae khuda tujhe teri khudai ka wasta
Safar me mujhe na dhoop ka ahsas ho
Na hi mujhe chalte hue pani ki pyas ho
Meri manjil mujhe bas aaye najar
Na ho mujhe fir jamane ki fikar
Andheri rat me bhi chalne ka hosla ho mujhme
Chot lag bhi jae to khatm na ho itna khoon dena
Gujarish he ae khuda, kuch karne ko esa Junoon dena
Ke manjil na paa lu, tab tak na rooh ko sukoon dena
----ANAND SAGWALIYA

Sunday 9 July 2017


Guru

Mere agyan ke andhere ko, gyan se mitaya
Jivan ki dagar me, mujhe chalna sikhlaya
Sansakaro kamatlab, mujhe yun sikhlaya
Sochna samajhna bhi, mujhe apne sikhlaya
Safalta ka marg bhi, mujhe apne dikhlaya
Jindagi ka falsafa, mujhe aapne samjhaya
Padha likhakar kabil, mujhe aapne banaya
Kya karna he mujhe, aaj me samajh jata tu
Lekin jab samajh nhi thi kuch, aapne samajhna sikhlaya
Khush hokar meri safalta par, mujhe pyar se sahlaya
He guru aapne mujhe, jivan jeena sikhlaya....
"Gurujano ke charan me naman"
Gurupurnima ki hardik Shubhkamnaye
------ANAND SAGWALIYA

Tuesday 4 July 2017

Ye wakt gujar hi jaega

Bura he aaj  kya hua kal ko acha bhi aega
Wakt he wakt ka kya ye gujar hi jaega
Mat dar in andheri rato se kal savera fir aega
Kyu ruk rha tu harkar kal ko jeet hi jaega
Is lamhe ko kyu ro rha ek pal me ye chala jaega
Khawab dekh prayas kar kal ko pura ho jaega
Dekh nadi ke pravah ko samandar me ye tham jaega
Aaj ro rha he tu kal ko muskuraega
Aaj sahma sa betha he kal ko khilkhilaega
Dhoop se na aaj dar chav ka chann bhi aega
Koyle ki khan me heera kal chamak jaega
Ret ka toofan bhi pal me thahar jaega
Wakt he wakt ka kya ye gujar hi jaega
Bura he aaj kya hua kal ko acha bhi aega
----Anand Sagwaliya

Monday 3 July 2017


WO sham sunahari thi....



Ek najar meri thi ek najar teri thi
Aaj bhi lagta he wo sham sunahari thi.....
Kabhi akela chalta tha raho me
Ab har rah me tu sathi meri thi.....
Meri manjil mukammal ho gyi thi us din
Jab tu duniya ko chodhkar bani meri thi.....
Dil me alag umang uthi thi mere us din
Jab teri sanso se mili sans meri thi.....
Jamana dushman sa lagne lga tha us din
Jab charo taraf charcha sirf teri-meri thi.....
Logo ne ise pagalpan keh diya
Asliyat me bani tu Mohabbat meri thi.....
Jab hawa meethi si lagne lagi
Usme ek khusboo meri ek teri thi.....
Ek najar meri thi ek najar teri thi
Aaj bhi lagta he wo sham sunahari thi.....
----ANAND SAGWALIYA

Saturday 1 July 2017


Mil hi jata he


Mil hi jata he mukaddar se kabhi na kabhi
Vo jiski hoti he aadate aap jesi sabhi....
Usse batiyakar aap bhul hi jate he
Gam-e-zindagi sabhi....
Uski bate sunkar lagta he
Jhalakte he ashk aapke usme
Jhalakti he usme aapki apni zindagi....
Kabhi mile kisi mod par to dosto
Pehchan lena usko aap bhi....
Jab dosti hoti he apne jeso se....
To mukammal ho jati he khwahishe aapki....
Khud ko kabhi dhundna ho to
Dekh lena use aina samajhkar
Kuki jhalak to usme bhi he aapki....
Mil hi jata he mukaddar se kabhi na kabhi
Vo jiski hoti he aadate aap jesi sabhi....
----Anand Sagwaliya
Maa..


Is tapti subh ki na jane kab rat hogi....
Na jane kab firse wo barsat hogi....
Taras gya hu kuch din tujhse door hokar....
Na jane maa tu kab fir pas hogi....

Tere achal me kab firse me so paunga....
Kab firse me tujhe dekhkar muskuraunga....
Wo pal hi bada haseen hoga...
Jab tere samne hone ka ahsas hoga....

Tu jo mere sir ko mamta se sehlaegi....
Meri ankhe to us din bhar aegi....
Jab tu pyar se bittu kehkar bulaegi....
Meri rooh tab bahut muskuraegi....

Jab tu apne hatho se roti khilaegi....
Meri sari bhukh ek pal me mit jaegi....
Jab tu mujhe samne paegi....
Mere dil ko thand padh jaegi....

Jab tu mujhe dekhkar muskuraegi....
Meri sari thakan us wakt mit jaegi....
Ha jald hi wo subha aegi....
Bas kuch din me maa mujhe mil jaegi....
----Anand Sagwaliya