Duniya ke roobaru hote hote, khud se roobaru hona bhul gye
Kisi or ke hoobahu hote hote, khud ke hoobahu hona bhul gye
Ajab sa dikhawa karte karte, khud ko dikhana bhul gye
Dusro ka tana bana bunne me, khud ko bunna bhul gye
Andhiyo se rehte rehte, madamasta hawa ko bhul gye
Samandar sa bhagte bhagte, tala b sa thahar jana bhul gye
Jabardasti sa haste haste, masoom khilkhilana bhul gye
Nikle duniya ki talash me, khud ko talashna bhul gye
Kisi or ke nishano par chalte chalte, khud ke nishan banana bhul gye
Daulat ke nashe me choor hokar, wakt bachana bhul gye
Aramdayak ko dhundne me, sukoon ka thikana bhul gye

----Anand Sagwaliya

No comments:
Post a Comment